zamin ghubar samundar sahab apni jagah magar main aur mera iztirab apni jagah hawa ki zad mein hai har chiz khar-o-khas ki tarah kaho pade rahen chup-chap khwab apni jagah agarche bikhri hai rakh us ki mere chaaron taraf wo lamha ab bhi hai apna jawab apni jagah mere aqab mein hai aawaza-e-numu ki gunj hai dasht-e-jaan ka safar kaamyab apni jagah zaban ko deta hai ehsas-e-tishnagi se najat wo zaiqa hai sukut-e-sarab apni jagah na jaane hoga kahan khema-e-badan 'ishrat' ki chhodne ko hai har ek tanab apni jagah