chand jab meri chhat pe aata hai har diye ko gale lagata hai jaur-o-zulm-o-sitam ki zulmat mein sabr ka jugnu jagmagata hai gham ke suraj ki tez kirnon se dil ka talab sukh jata hai nind ud jati hai siyasat ki jab qalam inqalab lata hai kya qarib aa gai meri manzil kyon qadam mera dagmagata hai wo mera aks-e-eatibar hai jo teri aankhon mein jhilmilata hai kaun har roz dard ka gul-dan ashk ke phulon se sajata hai kis ne tute dilon ko jod diya shahr mein kis ko fan ye aata hai apne darbar mein 'qamar' baadal roz dariya ko kyon bulata hai