chand ka raqs sitaron ka fusun mangti hai zindagi phir koi andaz-e-junun mangti hai muddaten guzrin ki yakh-basta hue qalb-o-jigar ghairat-e-ishq magar soz-e-darun mangti hai faiz-e-mausam tha parinde hue aazad magar khu-e-sayyaad wahi said-e-zabun mangti hai fasl-e-gul ke liye kya jaan pe khele koi ab to har mauj-e-hawa tohfa-e-khun mangti hai kuchh to ai yurish-e-alam-o-hawadis dam le gardish-e-waqt bhi thoda sa sakun mangti hai khubi-e-fan nahin parwarda-e-awurd 'sahar' ruh-e-takhliq dam-e-kun-fa-yakun mangti hai