bastiyan lutti hain khwabon ke nagar jalte hain hum wahan hain ki jahan sham-o-sahar jalte hain dil ke aiwan mein afsurda charaghon ka dhuan dur kuchh dur wo yaadon ke khandar jalte hain phir kisi manzil-e-jaan-soz ki jaanib hain rawan chob-e-sahra ki tarah ahl-e-safar jalte hain yun to pur-amn hai ab shahr-e-sitamgar lekin kuchh makan khud hi sar-e-rahguzar jalte hain hai ba-zahir koi shoala na chamak aur sharar hum kisi gham mein ba-andaz-e-digar jalte hain aatish-e-talkhi-e-haalat mein kya kuchh na jala ab gila kya hai jo ehsas ke par jalte hain go ho barfab bhi taskin hai dushwar 'sahar' apni hi aag mein arbab-e-hunar jalte hain