chand ki kashti saji hai aur main jhil hai ek jal-pari hai aur main lau diye ki siskiyan leti hui timtimati raushni hai aur main dhup qarnon ki masafat se nidhaal tez lamhon ki nadi hai aur main gosh-bar-awaz hain diwar-o-dar be-wazahat naghmagi hai aur main phir usi aawaz ka mauhum aks phir wahi harf-e-khafi hai aur main ilm ka sahra hai ta-hadd-e-nazar ek musalsal tishnagi hai aur main phir wahi be-nam pagal khwahishen phir wahi andhi gali hai aur main bikhre bikhre khwab hain mere liye reza reza zindagi hai aur main nind se bojhal hain palken raat ki ek adhuri diary hai aur main