jhil ke par dhanak-rang saman hai kaisa jhilmilata hua wo aks wahan hai kaisa jalte bujhte hue fanus hain manzar manzar naqsh-dar-naqsh wo mit kar bhi ayan hai kaisa kitne alfaz-o-maani ke waraq khulte hain mere andar ye kitabon ka jahan hai kaisa mujh mein ab meri jagah aur koi hai shayad kuchh samajh mein nahin aata ye guman hai kaisa shahr se laut ke ghar qarz chukana hai mujhe kaise likkhun ki mera haal yahan hai kaisa kis ne dali hai fazaon pe ye maili chadar shab ke mathe pe lahu-rang nishan hai kaisa mutthiyan bhej ke hum log rahe hain kab se dur tak aag ka jangal hai saman hai kaisa mere ajdad ke to khwab yahan dafn nahin ye haweli ye pur-asrar dhuan hai kaisa qabren bhi us mein nahin taj-mahal ki surat koi aabaad nahin hai ye makan hai kaisa