chand ko dekh ke jugnu ne farmaya hai subh ka bhula sham ko laut ke aaya hai wasl ne kam-umri mein jaan ganwai aur hijr hamara amrit pi kar aaya hai jo na ho paya wo us ki marzi hai jo bhi hota hai wo us ki maya hai darj hua hai bad-nami ke khate mein ishq mein hum ne jitna nam kamaya hai hairat karte hain bachche jab sunte hain ek rupe mein hum ne kya kya khaya hai phir mayusi ko is mein phansana hoga phir se ummidon ne jal bichhaya hai aur koi ab rang nahin chadhta mujh par us ne aisa apna rang jamaya hai lafzon ne jab hath kabhi khincha apne khamoshi ne apna hath badhaya hai khushiyon ka lamha bhi bachchon jaisa hai ghutnon ghutnon chal kar mujh tak aaya hai kaisi kaisi baaten dil mein aain hain raat gae jab phone kisi ka aaya hai