ek tamasha hum anokha dekhte khud ko hansta sab ko rota dekhte sar se pa tak us ko pura dekhte khud ko jab aadha adhura dekhte khud tamasha ban gae duniya mein hum warna duniya ka tamasha dekhte kyun bhala ghar lautte hum dasht se kyun bhala dekha-dikhaya dekhte wusaten milti agar binai ko dasht se ghar ghar se sahra dekhte pusht par bauchhaar tiron ki hui warna hum qatil ka chehra dekhte kash ho jate kisi mele mein gum aur phir ji bhar ke mela dekhte ek hi thi zindagi sayyad 'sarosh' kuchh to kar ke ulta sidha dekhte