chand ko le kar chali gai hai dur kahin baraat bahut hum bhi chalo ab so jaen ki bit gai hai raat bahut sawan mein ghazab ka sukha tha hui chait mein hai barsat bahut rishton ki jagah un rishton ki ab hone lagi hai baat bahut ja pahunche log to manzil par main khush hun ab tak safar mein hun ki mere liye ai jaan-e-ghazal hai hath mein tera hath bahut kuchh log hamari basti mein aa gae hain sakte mein sun kar ki wo jo kal tak gunge the ab karne lage hain baat bahut soch-samajh kar baat kiya kar ai sultan faqiron se ho sakta hai kisi faqir ki nikal aae auqat bahut daulat walon ki hai shohrat shohrat walon ki daulat izzat se hain hum basti mein ye hi badi hai baat bahut do roz judai ke tujh se itni to badi koi baat nahin barson se bhi lambe dekhe hain hum ne to 'salil' din-raat bahut