husn ne man liya qabil-e-tazir mujhe nazar aai hai mohabbat ki ye taqsir mujhe kyun na ho baada-e-sar-josh ki tauqir mujhe mil gai pir-e-kharabaat se tahrir mujhe jalwa-e-husn ke mafhum pe jab ghaur kiya ek dhundli si nazar aai hai taswir mujhe ab meri wahshat-e-ruswa ka ajab aalam hai kar diya aap ne wabasta-e-zanjir mujhe be-takalluf rukh-e-zeba se uthae wo naqab husn khud paega ek paikar-e-taswir mujhe zindagi ek nae aalam mein nazar aati hai le chali aaj kahan gardish-e-taqdir mujhe khich gai dil-kashi-e-husn mari nazron mein ji bahalne ko mili aap ki taswir mujhe zulf-e-shab-gun rukh-e-anwar ki sataish ko siwa koi mazmun na mila qabil-e-tahrir mujhe husn-e-dilkash ke talawwun pe nazar jab pahunchi na raha phir gila-e-gardish-e-taqdir mujhe