chand ko pura hone do bahti nadi ko sone do sham ki tarah udasi ko aur bhi gahra hone do kisi diye ke sae mein aasman ko sone do sapna agar ugana hai jagti aankhen bone do aao lipat ke so jaen jo hota hai hone do ujle tan ki lahron mein raat ke rang samone do umr ki sada dori mein sare phul pirone do patthar hota jata hun hansne do ya rone do tum mein jag raha hun main mujh ko khud mein sone do