aaina mera badal kar le gaya kis liye mujh ko safar par le gaya sab sukun mera samundar le gaya nind aankhon ki chura kar le gaya khali daman ghar mein aaya aur phir dhup jitni thi wo bhar kar le gaya main taaqub mein raha jis ke liye us ko koi ghar se bahar le gaya jaane us ko kya nazar aaya yahan bandh kar mera hi wo ghar le gaya ghar tahi-daman wo jata kis tarah dard-o-gham jo tha bacha kar le gaya