chand ko reshmi baadal se ulajhta dekhun wo hawa hai kabhi aanchal kabhi chehra dekhun dekhne nikla hun duniya ko magar kya dekhun jis taraf aankh uthaun wahi chehra dekhun us ke chehre se lapak utthe to lau tham jae dil mein hasrat hai daricha wahi khulta dekhun daera khinch ke baitha hun badi muddat se khud se niklun to kisi aur ka rasta dekhun ye wo darwaza hai kholun to koi aa na sake aur agar band karun dil hi mein duniya dekhun wo ajab chiz hai us ka koi chehra hi nahin ek parda jo uthe dusra parda dekhun wo chaka-chaund se niklega na ghar se koi dhup agar chhitke wo hansta hua chehra dekhun mera saya ho ki main koi to dhoka hai zarur ghar mein aaina ki ghar se pare dariya dekhun koi phal-phul nahin maghribi chattanon par chand jis ganw se ugta hai wo duniya dekhun raat-bhar roke bhi bujhti nahin sine ki tapish kabhi yun ho ke sirhane ko sulagta dekhun 'ashk' kuchh baat hi karne ka bahana mil jae us ke chehre pe agar yas ka saya dekhun