chup-chap se is dasht mein zulmat ka saman hai pathrai hui aankh mein shoala bhi kahan hai sukhe hue patton ko jo raundo to sada den piste hue insan ke munh mein to zaban hai azmat ki bulandi pe main jis samt gaya hun dekha hai tere panw ka pahle hi nishan hai aandhi jo chali sath uda le gai sab ko kya jaaniye is dasht mein ab kaun kahan hai roken bhi to 'khawar' use roka nahin jata jhonke pe mujhe umr-e-gurezan ka guman hai