chand kohre ke jaziron mein bhatakta hoga raqs-gah mein tu ne malbus utara hoga yak-ba-yak chikh uthe chaar dishaon ka sukut zard din mein kabhi aisa ho to phir kya hoga the wo darmanda-e-shab jag ke phir sote the shahr-e-zulmat hai kab is mein sawera hoga aankh ke kale gadhon mein wo giraftar the sab kis ne girte houn ko hath se thama hoga sang-o-ahan ki fasilon pe sharare lapke khun alfaz ki rag rag ne uchhaala hoga le gai bahti hawa dur bahut dur mujhe tu ne ghar ghar mujhe bekar talasha hoga kai diwaren hui hain pas-e-diwar khadi phir koi sokhta-dil raat ko chikha hoga mauj-dar-mauj hai an-dekhe jaziron ka fusun tu ne shab bhar mujhe sahil pe pukara hoga shahr ki sadkon pe ye ghumte kale jangal gher len mujh ko ye har samt se phir kya hoga bahr to bahr hai ru-posh hue dasht-o-jabal kya khabar thi ye mere jism ka saya hoga tum bhala mujh se khafa ho ke kahan jaogi shahr ki galiyon mein is waqt andhera hoga