bas usi ka safar-e-shab mein talabgar hai kya tu hi ai mah mera hamdam o gham-khwar hai kya tesha-dar-dast umand aai hai aabaadi tamam sab yahi kahte hain dekhen pas-e-diwar hai kya han isi lamhe mein hota hai sitaron ka nuzul shahr-e-khwabida mein koi dil-e-bedar hai kya jism to jism hai majruh hui hai jaan bhi apnon ke hote hue shikwa-e-aghyar hai kya tharthari patton pe hai dard-ba-jaan hain kaliyan tu bhi ai baad-e-sahar darpiae-azar hai kya lab hilane ki sakat hai na qadam uthte hain samne jo bhi hai daldal mein giraftar hai kya