chand la-khitab aankhen chand be-laqab chehre hasraton ke aaine be-hasab-nasab chehre pare sabit-o-salim aainon mein hain jab ki hote jate hain aakhir maskh kis sabab chehre paniyon ne bil-akhir resha resha kar dala aks-reziyan kab tak karte jaan-ba-lab chehre dub jab gain aankhen sath sath suraj ke nikle sair karne ko ghatiyon se tab chehre aankh par na rakhte the kal kisi ko lekin ab mausamon ke aage hain kaise ba-adab chehre kaun khush-nigahi ka de subut 'rahmani' aaina-gazida hain aaj sab ke sab chehre