kuchh to hasil ho gaya irfan-e-mai-KHana mujhe

kuchh to hasil ho gaya irfan-e-mai-khana mujhe
aaj paimane ko main takta hun paimana mujhe

dar par naghmon ka chha jaana koi aasan nahin
saz kya kam tha jo bakhsha soz-e-parwana mujhe

jod dale kitne saghar kitne mina kitne dil
ek zara jo mil gai thi khak-e-mai-khana mujhe

zindagi apni haqiqat hi haqiqat thi magar
aaj duniya ne bana dala hai afsana mujhe

rishta-e-derina-e-wahshat na tuta aaj tak
yaad virane ko main karta hun virana mujhe

subh-e-kaba sham-e-but-khana ki hai mujh ko talash
dhundhti hai subh-e-kaba sham-e-but-khana mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close