chand lamhe jo intizar ke hain karb ke aur intishaar ke hain shakh-e-gul yun kabhi jhulasti nahin ye karam mausam-e-bahaar ke hain jo diye timtima rahe hain abhi mere ujde hue dayar ke hain ab kahin kuchh dikhai de kaise sare manzar dhuen ghubar ke hain kahan ja kar sakun talash karun har jagah waqt khalfishaar ke hain wo kisi kaam ke nahin hain 'ata' nam un ke faqat shumar ke hain