kis ne ye socha tha haidar aisa bhi ho sakta hai

kis ne ye socha tha 'haidar' aisa bhi ho sakta hai
jis ko pyar samajh baithe wo dhoka bhi ho sakta hai

ghairon ke hathon mein khanjar dhund rahe ho aakhir kyon
jis ne kiya barbaad hamein wo apna bhi ho sakta hai

sansen lena bas ho alamat jine ki lazim to nahin
dil ke andar jhank ke dekho murda bhi ho sakta hai

sare jahan mein baat mohabbat ki jo karta phirta hai
us ke ghar nafrat ka andhera phaila bhi ho sakta hai

teri mahfil tere bande ho jitna bhi shor magar
hum mahfil mein aaen to sannata bhi ho sakta hai

phir se kisi ko dil mein basaun phir se kisi ke dard sahun
ye dil ka aangan hai suna suna bhi ho sakta hai

aag lagane se pahle ai kash wo itna soch bhi le
ye jo jala hai ye mera sarmaya bhi ho sakta hai

'haidar' sara haal main apna kaise ghazal mein likh dalun
fikr mujhe bas ye hai koi ruswa bhi ho sakta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close