chand lamhon ko sahi tha sath mein rahna bahut

chand lamhon ko sahi tha sath mein rahna bahut
ek bas tere na hone se hai sannata bahut

zabt ka suraj bhi aakhir sham ko dhal hi gaya
gham ka baadal ban ke aansu raat bhar barsa bahut

dushmanon ko koi bhi mauqa na milne paega
doston ne hi mere bare mein hai likkha bahut

main khara utra nahin tere taqaze par kabhi
zindagi ai zindagi tujh se hun sharminda bahut

bas ana ke bojh ne nazren meri uthne na din
us ki jaanib dekhne ko ji mera chaha bahut

main ne puchha ye bata mujh se bichhadne ka tujhe
kuchh qalaq hota hai kya us ne kaha thoda bahut

ghar hamara phunk kar kal ek padosi ai 'atiq'
do ghadi to hans liya phir baad mein roya bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close