baad muddat mile kuchh kaha na suna bhar gae zakhm purwaiyan so gain kanghi karti hui reshmi zulf mein meri betab si ungliyan so gain aaj alhad pujaran wo aai nahin dil ke mandir mein ghanti bajai nahin aas ke sab diye timtimane lage mere jazbaat ki ghantiyan so gain ab fazaon mein khushbu mahakti nahin ab wo pagal hawaen thirakti nahin ek to kar gai kya akela mujhe lahlahati hui wadiyan so gain us ke hathon mein chudi khanakti nahin us ke pairon mein pael jhanakti nahin chhod di main ne jab se gali pyar ki us ke kanon ki bhi baaliyan so gain ek nadi ke kinare base ganw mein guzra bachpan mera chand ki chhanw mein hum bade jab hue ajnabi ho gae dil ke mandir ki sab dewiyan so gain ghat dil ka mere aaj sunsan hai koi gopi nahane ab aati nahin meri murli ki dhun ab larazne lagi mere madhuban ki sab gopiyan so gain aam ke ped shadab hain aaj bhi baurte aur phalte bhi hain wo magar ab wo jhule kahan ab wo kajri kahan wo lachakti hui daliyan so gain