chand mein dhalne sitaron mein nikalne ke liye main to suraj hun bujhunga bhi to jalne ke liye manzilo tum hi kuchh aage ki taraf badh jao rasta kam hai mere panw ko chalne ke liye zindagi apne sawaron ko giraati jab hai ek mauqa bhi nahin deti sambhalne ke liye main wo mausam jo abhi thik se chhaya bhi nahin sazishen hone lagin mujh ko badalne ke liye wo teri yaad ke shole hon ki ehsas mere kuchh na kuchh aag zaruri hai pighalne ke liye ye bahana tere didar ki khwahish ka hai hum jo aate hain idhar roz tahalne ke liye aankh bechain teri ek jhalak ki khatir dil hua jata hai betab machalne ke liye