dard mein shiddat-e-ehsas nahin thi pahle zindagi ram ka ban-bas nahin thi pahle hum bhi sau jate the masum farishton ki tarah aur ye raat bhi hassas nahin thi pahle hum ne is bar tujhe jism se hat kar socha shairi ruh ki akkas nahin thi pahle teri furqat hi udasi ka sabab hai ab ke teri qurbat bhi hamein ras nahin thi pahle teri aankhon ne kahin ka nahin rakha hum ko itni shiddat ki hamein pyas nahin thi pahle rah chalte hue hum mud ke nahin dekhte the raste mein teri bu-bas nahin thi pahle