chand ne aaj jab ek nam liya aakhir-e-shab dil ne khwabon se bahut kaam liya aakhir-e-shab hae wo khwab ki tabir se sarshaar bhi tha us ki aankhon se jo inam liya aakhir-e-shab hae kya pyas thi jab us ke labon se main ne muskuraata hua ek jam liya aakhir-e-shab main jo girta bhi to qadmon mein usi ke girta us ne khud badh ke mujhe tham liya aakhir-e-shab zindagi bhar ki masafat ka mudawa kahiye us ki bahon mein jo aaram liya aakhir-e-shab