dastak hawa ne di hai zara ghaur se suno tufan ki aa rahi hai sada ghaur se suno shakhen utha ke hath dua mangne lagin sargoshiyan chaman mein hain kya ghaur se suno mahsus kar raha hun main karb-e-shikastagi tum bhi shaguft-e-gul ki sada ghaur se suno gulchen ko dekh leti hai jab koi shakh-e-gul deti hai bad-dua ki dua ghaur se suno ye aur baat khushk hain aankhen magar kahin khul kar baras rahi hai ghata ghaur se suno shakhon se tutte hue patton ko dekh kar roti hai munh chhupa ke hawa ghaur se suno ye dasht-e-be-karan ye pur-asrar khamushi aur dur ek sadae zara ghaur se suno ye baz-gasht meri sada ki hai ya mujhe aawaz de raha hai khuda ghaur se suno badhti chali hai arz-o-sama mein kashidgi kaunain mein hai hashr bapa ghaur se suno kab tak zamin uthae rahe aasman ka bojh ab tutti hai rasm-e-wafa ghaur se suno main tutta hun khair mujhe tutna hi hai dharti chatakh rahi hai zara ghaur se suno sahra mein chikhte hain bagule to shahr shahr ek shor hai sukut-faza ghaur se suno 'shair' tarashte to ho dil mein khuda ka but aawaza-e-shikast-e-ana ghaur se suno