chand nikle kisi jaanib teri zebai ka rang badle kisi surat shab-e-tanhai ka daulat-e-lab se phir ai khusraw-e-shirin-dahanan aaj arzan ho koi harf shanasai ka garmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badanan tazkira chhede teri pairahan-arai ka sehn-e-gulshan mein kabhi ai shah-e-shamshad-qadan phir nazar aae saliqa teri ranai ka ek bar aur masiha-e-dil-e-dil-zadagan koi wada koi iqrar masihai ka dida o dil ko sambhaalo ki sar-e-sham-e-firaq saz-o-saman baham pahuncha hai ruswai ka