chashm-e-maigun zara idhar kar de dast-e-qudrat ko be-asar kar de tez hai aaj dard-e-dil saqi talkhi-e-mai ko tez-tar kar de josh-e-wahshat hai tishna-kaam abhi chaak-e-daman ko ta jigar kar de meri qismat se khelne wale mujh ko qismat se be-khabar kar de lut rahi hai meri mata-e-niyaz kash wo is taraf nazar kar de 'faiz' takmil-e-arzu malum ho sake to yunhi basar kar de