chand nikle na kahin yar purane nikle koi kambakht mera dil to jalane nikle gham-e-nazuk ko tabassum ne kiya parda-nashin ashk dushman ki tarah raaz batane nikle main to bas sard hawa khane ko chhat par aaya wo bhi sukhe hue kapdon ko uthane nikle us ka gham tha ki mere dil pe sulaiman ki mohr ashk nikle ki ye moti ke khazane nikle mujh pe sahra mein bhi ek sang kisi ne phenka mere aage to ye majzub siyane nikle daur-e-hazir ke sukhan-saz hain kis ujlat mein subh diwan kaha sham chhapane nikle phir se betab hai us chand ka para para hae wo chand to ungli ko nachane nikle mushk-e-nepal ne aalam se mashaikh khinche khodi mitti to kai dafan khazane nikle teri galiyon ka pata mushk se malum kiya phir usi or kai bigdi banane nikle