ghaza to tera utar gaya tha main dekh ke khud ko dar gaya tha is shahr mein raste ka patthar main jangalon se guzar gaya tha tahrir-e-jabin miti hui thi taqdir ka zakhm bhar gaya tha be-nur thi jhil bhi kanwal se suraj bhi khala mein mar gaya tha ehsas shabab gham mohabbat ek ek nasha utar gaya tha dil ko wo sukun mila tere pas jaise main nagar nagar gaya tha kya chiz thi baad-e-subh-gahi ru-e-gul-e-tar nikhar gaya tha hamrah the an-ginat zamane main dasht se apne ghar gaya tha nazron ka milap kaun bhule ek saneha sa guzar gaya tha iqrar-e-wafa kiya tha us ne main fart-e-khushi se mar gaya tha 'siddiq' chali thi tez aandhi mitti ka badan bikhar gaya tha