chand niklega to ghar ghar mein ujale honge chandni raat mein sab raushni wale honge manzil-e-shauq pe chamkenge jo moti ki tarah wo musafir ke thake panw ke chhaale honge hote labrez to rah rah ke chhalakte kaise dar-haqiqat wo sabhi khali piyale honge khun jis waqt siyahi se bhi sasta hoga khun se chhape hue gham ke risale honge aap ke pichhe wahi log padenge ek din aap barson jinhen aaghosh mein pale honge tum jo nafrat ki siyahi se likhoge tarikh us ke alfaz bhi safhat bhi kale honge maslahat thi ki baras pae na kale baadal charkh ne faisle kuchh soch ke tale honge jhut ko jhut 'qamar' kaun karega sabit haq-paraston ki zabanon pe jo tale honge