khugar-e-aish-o-masarrat dil-e-khud-kaam nahin hai ye aaram ki surat magar aaram nahin maut lai hai ye paigham ki is ghar se nikal tu ne jo kaam kiye qabil-e-inam nahin daimi zist ho darkar to marna sikho ye wo aaghaz hai jis ka koi anjam nahin dekh kar hashr mein neki-o-badi ki fihrist ishq hai sar-ba-gareban ki mera nam nahin log kahte hain ki wo puchhte rahte hain magar un ki jaanib se to ab tak koi paigham nahin kab khuda jaane wo khalwat se baramad honge mahfil-e-naz abhi jalwa-gah-e-am nahin is ko jis tarah banae koi ban jati hai zindagi khud sabab-e-rahat-o-alam nahin