chand par hai mujhe tera hi guman aaj ki raat sujhta hi nahin kuchh sud-o-ziyan aaj ki raat dard-e-insan mein insan mita jata hai ek nae ahd ka milta hai nishan aaj ki raat jama-e-hasti-e-insan hai ba-rang-e-matam uth raha hai sham-e-sozan se dhuan aaj ki raat ek nae mod pe hai dard-e-mohabbat apna daru-e-dard hai khud dard-e-jahan aaj ki raat ai sitaron ke khudawand ye kya aalam hai chandni mein bhi hai tarik jahan aaj ki raat kya hai mearaj yahi dard ki lazzat apni kya isi mein hain rumuz-e-do-jahan aaj ki raat dur se aati hain kanon mein dilon ki aahen kya inhin mein hai khuda-wand-e-jahan aaj ki raat jo bhi mazlum hai dil us ke liye rota hai meri har sans mein hai shor-e-fughan aaj ki raat