yunhi kisi ke dhyan mein apne aap mein gati do-pahren narm gulabi jadon wali baal sukhati do-pahren sare ghar mein sham dhale tak khel wo dhup aur chhanw ka lappe patte kachche aangan mein lot lagati do-pahren jiwan-dor ke pichhe hairan bhagti toli bachchon ki galiyon galiyon nange panw dhul udati do-pahren sargoshi karte parde kundi khatkata nat-khat din dabe dabe qadmon se tapti chhat par jati do-pahren kamre mein hairan khade aaina jaise hanste din khud se lad kar gaurayya si shor machati do-pahren wahi muzafaton ke bhed bhare sannaton wale ghar gudiyon ke lab si kar un ka byah rachati do-pahren khidki ke tute shishon par ek kahani likhti hain mandhe hue pile kaghaz se chhan kar aati do-pahren nim tale wo kachche dhage rangti hui purani yaad ghera dale chhoti chhoti hath batati do-pahren phati-purani kathri odhe dhup senkte budhe din peshani tak pallu khinche chilam banati do-pahren pani ki taqsim ke pichhe jalte khet sulagte ghar aur kheton ki zard munderon par kumlati do-pahren purwai se ladte kitne waraq purani yaadon ke saughaton ke sanduqon ko dhup dikhati do-pahren dukhti aankhen zakhmi poren uljhe dhagon jaise din baadal jaisi odhniyon par phul khilati do-pahren odhniyon ke udte baadal rangon ke bazaron mein chudi ki dukanon se wo hamein bulati do-pahren sunte hain ab un galiyon mein phul sharare khilte hain khun ki holi khel rahi hain rang nahati do-pahren ye to mere khwab nahin hain ye to mera shahr nahin kis jaanib se aa nikli hain ye gahnati do-pahren