chand par kyon main akeli jati sath koi to saheli jati aao mil-jul ke sahen hijr ki dhup mujh se tanha nahin jheli jati bolna mujh se na tum band karo har taraf baat hai phaili jati hum agar aql ko darban karte hath se dil ki haweli jati hae sandal ke darakhton ki ye rakh jaan khushbu ki na le li jati ban to sakta tha naya ek kamra apne aangan ki chameli jati pyas jati na agar sahil par kyon samundar mein akeli jati chand jhanke jo kitchen mein 'parwin' mujh se roti nahin beli jati