chand phir taron ki ujli rezgari de gaya raat ko ye bhik kaisi khud bhikari de gaya tankti phirti hain kirnen baadalon ki shaal par wo hawa ke hath mein gota kanari de gaya kar gaya hai dil ko har ek wahime se be-niyaz ruh ko lekin ajab si be-qarari de gaya shor karte hain parinde ped katta dekh kar shahr ke dast-e-hawas ko kaun aari de gaya us ne ghayal bhi kiya to kaise patthar se 'nasim' phul ka tohfa mujhe mera shikari de gaya