chand suraj shafaq kahkashan khatm-shud ab udun kis taraf aasman khatm-shud regzar-e-yaqin ta-ba-hadd-e-nazar sabza-zar-e-khayal-o-guman khatm-shud phir hua yun ki aankh ek dam khul gai mukhtasar ye ki bas dastan khatm-shud fikr ke sare gul-bute murjha gae zehn ki sari shadabiyan khatm-shud us ne aate hi sab khidkiyan khol din dafatan sar mein tha jo dhuan khatm-shud rishte-nate sabhi jun ke tun hain magar ek taqaddus jo tha darmiyan khatm-shud zehn ko ab nichodun to tapke ghazal thi kabhi wo jo tab-e-rawan khatm-shud