aish se kyun khush hue kyun gham se ghabraya kiye zindagi kya jaane kya thi aur kya samjha kiye nala-e-be-tab lab tak aate aate rah gaya jaane kya sharmili nazron se wo farmaya kiye ishq ki masumiyon ka ye bhi ek andaz tha hum nigah-e-lutf-e-jaanan se bhi sharmaya kiye nakhuda be-khud faza khamosh sakit mauj-e-ab aur hum sahil se thodi dur par duba kiye wo hawaen wo ghataen wo faza wo us ki yaad hum bhi mizrab-e-alam se saz-e-dil chheda kiye mukhtasar ye hai hamari dastan-e-zindagi ek sukun-e-dil ki khatir umr bhar tadpa kiye kat di yun hum ne 'jazbi' rah-e-manzil kat di gir pade har gam par har gam par sambhla kiye