chand tanha hai kahkashan tanha hijr ki raat aasman tanha bhagti rail shor sannata rah gai be-sada zaban tanha rang aur nur se rahe mahrum hum faqiron ke aastan tanha kaisi nafrat ki aag phaili hai jal raha hai mera makan tanha aandhiyan bijliyan shajar kamzor bach na paega aashiyan tanha thak ke sab so gae hain mahfil mein khud hi sunta hun dastan tanha koi jadu na rahbar koi ab kahan jae karwan tanha pas gar tu nahin to kya gham hai sath apne hai ek jahan tanha