apni qismat ke hue sare sitare patthar phul daman mein tere aur hamare patthar hum bhi isa ki tarah tum se yahi kahte hain jo gunahgar nahin hai wahi mare patthar haq na mil pae mashaqqat ka to hota hai yahi zulm ke samne hote hain sahaare patthar moajiza ishq ka ye bhi hai zamane walo mere aangan mein hue phul tumhaare patthar dast-e-nafrat ne kiya paikar-e-iman zakhmi muft mein ho gae badnam bechaare patthar sone chandi ne to kuchh bhi na diya hum ko 'zafar' ya-khuda ab meri qismat ko sanware patthar