chand tare bana ke kaghaz par khush hue ghar saja ke kaghaz par bastiyan kyun talash karte hain log jangal uga ke kaghaz par jaane kya hum se kah gaya mausam khushk patta gira ke kaghaz par hanste hanste mita diye us ne shahr kitne basa ke kaghaz par hum ne chaha ki hum bhi ud jaen ek chidiya uda ke kaghaz par log sahil talash karte hain ek dariya baha ke kaghaz par naw suraj ki dhup ka dariya tham gae kaise aa ke kaghaz par khwab bhi khwab ho gae 'adil' shakl-o-surat dikha ke kaghaz par