kya zamin kya aasman kuchh bhi nahin hum na hon to ye jahan kuchh bhi nahin dida-o-dil ki rifaqat ke baghair fasl-e-gul ho ya khizan kuchh bhi nahin pattharon mein hum bhi patthar ho gae ab gham-e-sud-o-ziyan kuchh bhi nahin kya qayamat hai ki apne des mein e'tibar-e-jism-o-jaan kuchh bhi nahin kaise kaise sar-kashida log the jin ka ab nam-o-nishan kuchh bhi nahin ek ehsas-e-mohabbat ke siwa hasil-e-umr-e-rawan kuchh bhi nahin koi mauzu-e-sukhan hi jab na ho sirf andaz-e-bayan kuchh bhi nahin