chand taron ne bhi jab rakht-e-safar khola hai hum ne har subh ek ummid pe dar khola hai main bhatakta raha sadkon pe teri basti mein kab kisi ne meri khatir koi ghar khola hai ho gai aur bhi rangin teri yaadon ki bahaar khilte phulon ne mera zakhm-e-jigar khola hai un ki palkon se gire tut ke kuchh taj-mahal nind se chaunk ke jab dida-e-tar khola hai yar mera to muqaddar hai wo chadar jis ne panw khole hain kabhi aur kabhi sar khola hai raat bhaari kati shayad gae din laut aae shams' ne parcham-e-ummid-e-sahar khola hai