talluqat-e-wafa mein jo sard ab tak hai kai mahaz pe garm-e-nabard ab tak hai agarche shahr ke haalat pur-sukun bhi hain har ek chehra magar zard zard ab tak hai bhadak uthe to zamane ki khair na-mumkin wahi jo aag si sine mein sard ab tak hai tumhaari baat se wo sang-dil pighalta kya tumhaara dil bhi to mahrum-e-dard ab tak hai wo ek khwab ki tabir pa saka na abhi wo ek khayal ki sahra-naward ab tak hai hawa ne kaun se khwabon se dil lagaya tha hamari tarah jo aawara-gard ab tak hai