chand taron se bhara ye aasman de jaunga khud rahunga dhup mein aur saeban de jaunga mere achchhe ham-safar tujh ko bhi main jate hue rah se bhatka hua ek karwan de jaunga hain zulekhaen bahut koi bhi yusuf ho to main misr ke bazar mein us ko dukan de jaunga jis ne toda dil mera aur khwab kirchi kar diye us ko shishe ka bana main ek makan de jaunga mere sahil par rukengi jis nazar ki kashtiyan us ki palkon ko naya ek baadban de jaunga dushmanon ke samne to be-khatar jaunga 'shad' tir un ke tod kar phir ek kaman de jaunga