chand to khil utha sitaron mein hum sulagte rahe shararon mein dil-e-wahshat-zada ka haal na puchh phul murjha gae bahaaron mein aansuon ke charagh raushan hain dekh phir teri rahguzaron mein kaenat aur bhi nikhar jae rang bhar do agar nazaron mein phul khilte hain har baras un par dafn hai kaun in mazaron mein mere sare khulus ki daulat bant do ja ke gham ke maron mein main to rahi hun teri manzil ka aur tu gum hai chand-taron mein