sulag raha hai koi shakhs kyun abas mujh mein bujhega kaise abhi shoala-e-nafas mujh mein ajib dard sa jaga hai baen pasli mein ajab sharar-e-talab sa hai pesh-o-pas mujh mein main shakh shakh se liptun shajar shajar chumun panap rahi hai ajab lazzat-e-hawas mujh mein na koi naqsh-e-yaqin hai na koi aks-e-guman dhuan dhuan hai abhi se naya baras mujh mein na zist ki koi halchal na maut hi ki fughan hai kohar kohar sa ek shahr-e-be-haras mujh mein bas ek parinda sa par phadphada ke chikhta hai bahut udas hai ab mausam-e-qafas mujh mein kabhi to guzre idhar se bhi tund mauj-e-hawa hain jama kitne hi mausam ke khar-o-khas mujh mein