chand ubhra na mere jism se saya nikla sham-e-gham aai to main ghar se akela nikla aaj aaya hai dariche pe hawa ka jhonka aaj koi to mujhe dekhne wala nikla ye alag baat ki khulne lage palkon ke waraq nok-e-lab se na kabhi harf-e-tamanna nikla ho gae aur dar-o-baam nazar se ojhal dar-haqiqat ye ujala bhi andhera nikla koi aawaz to aa jati kahin se wapas ye kuan ghar ka to itna bhi na gahra nikla laut ja ab meri aankhon mein nahin hain aansu tu samundar jise samjha tha wo sahra nikla