un nigahon ko ham-awaz kiya hai main ne tab kahin git ka aaghaz kiya hai main ne khatm ho ta-ki sitaron ki ijara-dari khak ko mail-e-parwaz kiya hai main ne aap ko ek nai khiffat se bachane ke liye chandni ko nazar-andaz kiya hai main ne aasmanon ki taraf aur nahin dekhunga ek nae daur ka aaghaz kiya hai main ne ruthe logon ko manane mein maza aata hai jaan kar aap ko naraaz kiya hai main ne tum mujhe chhod ke is tarah nahin ja sakte is talluq pe bahut naz kiya hai main ne wo jo sadiyon se yahan band pada tha dekho shairi ka wahi dar baz kiya hai main ne sun ke mabhut hui jati hai duniya sari sher likkhe hain ki ejaz kiya hai main ne ishq mein nam kamana koi aasan na tha sare ahbab ko naraaz kiya hai main ne sirf logon ko batane se tasalli na hui chand taron ko bhi hamraaz kiya hai main ne aur bhi honge kai chahne wale lekin aap ke nam ko mumtaz kiya hai main ne aasmanon se pare karta hai ab ja ke shikar tair-e-dil ko wo shahbaz kiya hai main ne shairon se jo tere baad kabhi ho na saka kaam wo hafiz-e-shiraaz kiya hai main ne