chand un aankhon ne dekha aur hai shahr-e-dil pe jagmagata aur hai lams ki wo raushni bhi bujh gai jism ke andar andhera aur hai ai samundar rasta dena mujhe lauh-e-jaan pe nam likkha aur hai wo jo chidiya nachti hai shakh par us ke andar ek chidiya aur hai mod par ruk jae ki kachchi sadak sath chalta hai wo rasta aur hai hijr ke sae na taswir-e-khizan yar us ke ghar ka rasta aur hai taliyon se hall sara bhar gaya jaanta hun sher sachcha aur hai